Inspirational Shayari

Apni kitaabon mein sab jhoot jhoot bata hai Phir kahta hai ke bhalai ke liye jhoot bhi bola ja sakta hai

Aye koran tere aayat dil ko chhu ke guzar jati hai kyun ke teri baat kisi ke samajh mein nahi aati hai Ek Shayar ki shayari Dil mein utar jati kyun ke woh zindagi ke haalaat batati hai

Shayari mein sab chalta hai Gadha bhi ghode ki chaal chalta hai

Kuch khas nahi hai ghoda hai ghas nahi hai Tu paas nahi hai tere aneki aas nahi hai Phir bhi dil udaas nahi hai kyunki koi tamanna koi arzu koi pyaas nahi hai main kaha hoon kya kar raha hoon mujhe iss baat ka apne haal ka bhi ahsaas nahi hai

Paise ko par hai udte idhar udhar hai Pinjra jidhar hai tikkar rahte udhar

Yun achanak mera dil toot kyun gaya Kahin koi mera apna mujh se rooth to nahi gaya

Kuch samajh mein nahi aa raha tha Zindagi raah se bhatka rahi thi Shayad iss liye ke maut sar par mandra rahi thi

Tere jaisi meethaa kisi ras mein nahi Tujhe bhula doon ye mere bas mein nahi

Ya khuda agar main tujhe gaali bhi deta hoon dil se deta hoon Issi bahane tujhe pukarta to rahta hoon

Zuban par allaah allaah pukarta hai Aur dil mein paisa paisa chillata hai

Pagal ho gaya hoon main hairan ho gaya hoon main Aye khuda tere naam se pareshan ho gaya hoon main

Maut se gila nahi hai Zindagi se kuch mila nahi hai

Mandir mein katha sunata hai masjid mein bayan karata hai Aur raaste par lakar bhai ko bhai se ladata hai aur khud ko khuda kahlata hai

Zalimon ko gaddi par bitha hai Aur peeron aur fakiron ko dar dar bhatkata।hai

Zalimon ko gaddi par bitha ta hai Peeron aur fakiron ko dar dar a hai