Inspirational Shayari

Zuban par allaah allaah pukarta hai Aur dil mein paisa paisa chillata hai

Pagal ho gaya hoon main hairan ho gaya hoon main Aye khuda tere naam se pareshan ho gaya hoon main

Maut se gila nahi hai Zindagi se kuch mila nahi hai

Mandir mein katha sunata hai masjid mein bayan karata hai Aur raaste par lakar bhai ko bhai se ladata hai aur khud ko khuda kahlata hai

Zalimon ko gaddi par bitha hai Aur peeron aur fakiron ko dar dar bhatkata।hai

Zalimon ko gaddi par bitha ta hai Peeron aur fakiron ko dar dar a hai

Amiron par khazane lootata hai Garibon ko angutha dikha ta hai

Raat to kat gayi din kaise guzrey ga Zulm karega to kya khoon nahi ublega

Teri duniya se main kya lekar jauga Main nanga aaya tha main nanga hoon mai nanga hi jauga

Jo mahnat kar ke anaaj ugate hai Tere farishtey unhe hi bhukha sulate hai

Zindagi se dar bhi jau magar maut se nahi darta Main janta hoon tu kisi se pyar nahi karta

Tera wajud agar hai toh samne aakar dikha Tera koi naam hai to dil mein aakar likha

Tujh mein dam hai toh duniya mein ek hi naam se pahchana ja Warna band karde apna naach gaana

Zalimon ko khoon pilata hai Gareebon ko bhukha sulata hai Apne aap ko khuda kahlata hai

Khud ko khush dil aur khush mijaaz kahlata hai Aur dusron ke maiyat par jake muskurata hai