Inspirational Shayari

Itni badi daulat khoke main khush rahnewalon mein se nahi Aye mere dushman tu hosh mein aa main chup rakne walon mein se nahi

Kabhi Hasna toh kabhi rona hai adami chalta firta bolta khilona hai

Tere haathon se diya amrit bhi zaher lagta hai Maut se nahi zindagi tujhse dar lagta hai

Main akela hi tanhaiyon mein jo raha tha Pal do pal saath nibhane ki zarurat kya thi

Aisi adhi adhuri mohabbat ki zarurat kya thi Jab bichadna hi tha to milne ki zarurat kya thi

Bite waqt ki lash ko kandho pe liye gumta hoon Kya bura karta hoon jo thodi si pikar jhumta hoon

Koi waqt par yaad karta Koi waqt be waqt yaad karta hai Koi paach waqt yaad karta hai Main to woh hoon aye khuda jo tujhe har waqt yaad karta hoon

Zindagi hamesha ek si nahi rahti Yahaan badlao achanak hoti hai

Honton par muskurahat bhi aayi Ankhon se ansu bhi aayey zindagi ke bas yehi do sachche Tajurbe hai

Honton par muskurahat bhi aayi Ankhon se ansu bhi aayey zindagi ke bas yehi do sachche Tajurbe hai

Zindagi ko haseen tohfa deta hai Woh burey halaat mein bhi muskura leta hai

Aaj daman mein phool hai Kal kante bhi ho sakte hai Aaj mehfil mein raunak hai Kal sannatey bhi ho sakte hai

Zindagi ne zindagi ko zindagi bhar uljha diya Maut aayi maut ne zindagi ki har uljhan ko Suljha diya

Zindagi par dukh ki chadar chah gayi Yaar se judai ki ghadi as gayi

Zindagi mein kya kamaya hai Bas sab teri yaadon ka sarmaya hai