Inspirational Shayari

Main uski shakal bhi nahi dekhna chahta hoon Magar uske aane jaane ke Rastey mein mera ghar lagta hai

Jab khauffey khuda na raha Toh kisi insaan se kya darna

Tera pandit tera mulla tera padari Mujhe tere khauff se darta hai Mujhe tere darawana aur bhayanak Chahera woh dikha ta hai

Badalon mein doob gaya umeed ka tara Naseeb se hara meri kismat ka sitara

Badalon mein doob gaya umeed ka tara Naseeb se hara meri kismat ka sitara

Duniya mein adami ki izzat nahi Adami ke paas kya hai uski izzat hai

Kisi majlis kisi mehfil kisi kitaab mein mera koi zikar nahi hai Mere paas kuch bhi nahi hai Mujhe kal ki koi fikar nahi hai

Hum dono iss duniya ko samjha samjha kar thakey Ya rab Na woh galib ko samajh paye Na mujh ko samajh sakey

Galib apne daur mein jitna pareshan tha Fakeera apne daur mein itna hi hairan hai

Har zakhm ka marham hai har dard ka ilaaj hai Bas ek maut hi aisi hai jo La ilaaj hai

Adami kitna bhi udey parwaaz nahi hoti hai Waqt ke chaal ki aawaaz nahi hoti hai

Log puchte hai hum se ke aap kyun itne goomsoom ho gaye Hamare sab saathi waqt ki Gardish mein goom ho gaye

Mere jism par tere mohabbat ki chadar nahi Tujhe mere pyar ki kadar nahi

Ek taraf aag ka dariya dusri taraf gahri khai Tu kaha milega Main tohe kaha dhundu re sai

Kaisa gurur gumaan Kaisa garv abhimaan Agley pal mein kya likha Jag ussey anjaan