Inspirational Shayari

Kaisa gurur gumaan Kaisa garv abhimaan Agley pal mein kya likha Jag ussey anjaan

Gurur kis baat ka Kis baat ki magruri Akela rah jayega Ho jayegi jag se duri

Zaban ka mitha dil ka kala bhi ho Ye zaruri nahi kabhi Dilwala bhi ho sakta hai

Fakeera baithe pipal ke nichey Kahe bande bhaag na sapnon ke pichey

Mahnat se bhi milega utna hi Naseeb mein likha jitna hai Oont zeraf haathi ghode doob gaye Aur gadha puchta hai paani kitna hai

Na usne mujhe shaad kiya Na Maine usey shaad kiya Na usne mujhe abaad kiya Na Maine usey abaad kiya Waqt ne mujhe aur maine waqt ko barbaad kiya FAKEERA THE GREAT FAKIR BADSHAH SAAB

Kabhi mehfil mein woh mere jane se pahle aaya kabhi mehfil mein woh mere jane ke baad aaya Waqt meri zindagi mein Kabhi waqt par nahi aaya

Galib ke waqt mein galib ke daur mein Galib ko koi puchta nahi tha Aaj galib ke shero shayari mein Log zindagi ke falsaphey dhundte hai Wohi haal Kabir ka hai

Galib waqt mein galib ke daur mein Galib ko koi puchta nahi tha Aaj galib ke shero shayari mein Log zindagi ke falsaphey dhundte hai Wohi haal Kabir ka hai

Hazaaron chelon mein ek chela upar aaya guru ka naam bakhaya Hazaaron chelon ki asafalta swikar karne kaun guru aage aayaa

Phadkar phek do unn kitabon ko Jo kitabey bhedbhav sikati hai

Phadkar phek do unn kitabon ko Jo kitabey bhedbhav sikati hai

Ye sansaar bahot rahasyamai Na jane kya kya chupa iske piche Zamin par dekh ke chal kahin aa naa Jaye koi kanta tere paanv ke niche

Kya guru sikhave aur Kya govind se paave adami apne naseeb se kamaave aur kismat ka khaave

Adami kitna bhi bada ho jaye Marne ke baad phekne mein jata hai Musalmaan kabar mein jata hai Hindu chita mein sekne mein jata hai