Inspirational Shayari

Maut ka intezar hai Marne ki khushi hai Bas is baat par Ke unse milne ki ummeed hai

Ye shaher bada rangeen hai Yahaan har koi shaukin hai Yahaan chehre hai khile khile Par dil bada gamgeen hai

Hum bhi insaan they Sab kuch jalne ke baad raakh huye hai

Aap ke dukh hamare dukh se Bade nahi ho sakte Kyunki aap ko apne gham hai Aur hum ko zamane ke dard hai

Aye allaah kab tak amir ke ghar mein chaakri karega Kabhi gareeb ke ghar mein Aakar bhi kuch kaam kar

Aap apne dukhon se pareshan hai Hum ghame jahan se bezaar hai

Woh garib bad naseeb tha Woh ustad ae hunar tha Harfan maola tha Uski jholi mein kuch nahi raha Fata hua uska jhola tha

Hum se muqabala karne ke liye Kya kisi ki shamat aayi hai Insaanon se nahi humne kismat Se maat khai hai

Aye mere avtaar mere massiha mere paigamber Maza kya iss mein ke aap logo Ke bhakt hi aap ko izzat bakshe Maza toh tab hoga jab har koi Aap logo ko izzat bakshe ga

Ghar hai toh kya Aur mahel hota to kya hota Ghar mein chaar paai par rota Aur mahel mein hota to Taqt par rota hota

Tum salaam dil se karo Hum jawaab dil se denge Zubaan ke salaam dua par Ab aitbar nahi hota

Bahot dikhai apni shaan Mandir masjid banai Ek se badkar ek aalishaan Insaaniyat ki raah mein Kabhi banaya koi makaan

Rukha sukha khai ke Thanda pani piyo aisa kahega Jiska pet bhara hai Woh tujhe baaton se chalega FAKEERA THE GREAT FAKIR BADSHAH SAAB

Imaan Imaan ki kya baat karta hai Insaaniyat kitni hai Pahle ye bata

Masjidon se insaan abaad nahi Insaanon se masjiden abaad hai Kafiron ke dilon mein bhi malik basta hai Imaan sirf musalmanon ke baap ki jayadaad nahi hai FAKEERA THE GREAT FAKIR BADSHAH SAAB