Inspirational Shayari

Guzar ta waqt aksar sabak sikha ta jata hai Woh bhi waqt hi bata ta hai Kaun kitna sikhta hai kaun kitna samajh pata hai

Tajurba itna toh haasil hai zindagi ka Ke waqt kharab ho toh saath nahi milta kisi ka

Akhir ek din sar patak patak kar marega Murda dili ka zamana hai Jinda dil bankar kya karega

Unse mohabbat ke bad mohabaat ka nazariya hi badle gaya Dil mein mohabbat ka jo dariya tha woh dariya hi utar gaya

Waqeef bhi tha main uske ravaiyye se Par mohabbat ne gaafeel kar diya tha

Jab nahi koi mabud siwa tere Phir butto se itna ghabrata kyun hai Khud ka hi jab koi thikana nahi to jagirdaari hoshiyaari dikha kyun hai

Jitni buraiyan dhundo ge kisi mein usme utni hi buraiyan nazar aaye gi Kabhi apne andar bhi jhank kar dekho shayad khud ko bhi khud se sharam aaye gi

Hamaare bharose aitbaar ko zinda jala diya Pahle mitha mitha khilaya phir kadwa pila diya

Ishq duniya ki nazar se chupa kar hota hai toh meetha lagta hai Duniya ki nazar mein aate hi kadwa ho jata hai

Saadagi se dil ko saaf kar de Kisi se kisi baat ka badla na le maaf karde

Pyaar ki dhoka dhadi awaara na bana de kahin Tumhari ye khush mijazi tumhe maskara na ban de kahin

Band hi kar do unhe tum bhi dekh na Joh tumhe dekh kar nazre pher lete hai

Iss chaabaaz duniya mein nadaan hi bane rahna Hoshyaari ka anjaam bura hota hai Joh hansata hai mehfil mein sab ko wohi aksar tanhaai mein baith ke rota hai

Band kardo tum unhe awaaz dena Joh tumhari awaaz sunkar bhi anjaan bante hai

Bandh karlo tumhari ye madh mast ankhen Warna koi tumhari iin nigahon ke samandar mein doob jayega