Inspirational Shayari

Nazdikiyon se rishton mein duriya aa gayi hai Iss sard o suhane mausam mein bhi talkhiyan aa gayi hai

Lakh ibadat kar le par maa ki seva nahi ki toh Khuda ko khush karne layak koi kaam nahi kya

Maa ki dua uske sab bachchon ke saath hoti hai Par uske sab bachche khush naseeb nahi hote koi bad naseeb bhi hota hai

Maa ki kadar nahi jisko woh bad naseeb hota hai Khud apni hi zindagi ka dushman khud apna hi raqeeb hota hai

Aaj maa nahi bas maa ki yaad hai Wohi meri manzil thi wohi meri buniyaad hai

Zindagi apni marzi se nahi chalti hai Tu zindagi ki marzi se chal na sikh le

Main apni marzi ka kuch nahi karta tha Jab Maa thi tab main maa ki hi sunta tha

Khuda khud hum se kabhi kabhi razaa mangta hai Duniya par rob jamane ke liye hum se hamari adaa mangta hai

Praishchit toh woh kare jisne khuda ke naam se dhoka diya ho Hum ne toh khud khuda se hi dhoka khaya hai

Hum kahaan khuda ko yaad karte baithe Hum to wo hai jise khuda khud yaad karta rahta hai

Naam mein hi toh sab kuch rakha hai naam se hi toh adami ki pahchan hai Woh jhoot kahta hai joh ye kahta hai ke naam mein kya rakha hai

Zindagi gar tere saath guzari hoti Toh woh zindagi bhi kya zindagi hoti

Dhoke baazon ne uss malik ke na jane kitne alag alag naam rakh diye Kal woh malik mujh se uska apna sahi naam puch raha tha

Aaj achanak mujhe apna naam yaad aa gaya Ab tak na jane mein kitne naamon ke saath Jee raha tha

Bandagi ya parastish se fayada to sirf pandit mulla padri ko hi hota hai ( pagaar) ke rup mein Baki zarurat se zyada ibadat karna aam adami ke liye waqt ki barbaadi hi hai nuksaan hi hai nafrat badti hai dusre dharm mazhab religion ke logo ke prati