Inspirational Shayari

Hum jab bhi masjid ki taraf jate hai namaaz padhne ke liye Ek farishta akar humara rasta rok deta hai Kahta hai allaah ke hukm se aap ka andar jaana mana hai Kyunki app aise aise sawaal puchte hai jiska allaah ke paas jawaab nahi hota Aap maherbani kar ke koi dusri jaga khud banaye apni ibadat ke liye Ye masjide nadaanon aur murkhon ke liye banai hai yahaan mulla se tak sawaal puchna mana hai Aur aap hazrat sidhe allaah se sawaal puchte ho Aap ke aane se allaah ko sidhe masjid chhodkar jana padhta hai

Jo waqt guzara tumhare saath woh waqt kamaal ka tha Hum par jadu sa tumhare husno zamaal ka tha

Kya sar jhukata hai uss khuda ke aagey Jo khuda khud dhanwaanon ke aagey nath mastak hai

Dil ka shaher kabhi viran hu karta tha Tum aaye zindagi mein aur gulzaar ho gaya

Main akela hi tanhaiyon mein ji raha tha Log aate gaye aur bastiyan basti gayi

Ud ud kar kitna udega aye adami Teri udaan bhi to ek hadh mein hai Chalte chalte kabhi bhi kahin bhi ruk jati hai Zindagi bhi to maut ki zadh mein hai

Adami bura nahi hai Waqt hota hai achcha bura Main kise kyun bura samju Main hi toh hoon sabse bura

Safar zindagi ka tanha tanha hai Chaaron taraf mela hi mela hai Itni sari bheed mein bhi insaan Akela Akela hai

Teri talaash karte karte main thak haar gaya Tujh par aitbaar karna mujhe jeete ji maar gaya

Kaun jagega kise jaga rahe ho Koi soya hoga to jagega na Yahaan sab mar chuke hai Yahaan sab murda dil hai

Tum hamare dil mein makaam kar lo Hum tumhare dil mein padaav karte hai Dono mil kar saath manzil ki talash karte hai

Waqt badlte hi nazre badal jate hai Daulat ka khel hai Nazaare badal jate hai

Waise to har aurat khubsurat hoti hai Chahe thodi kam thodi zyada khubsurat ho Par puri imaandar honi chahiye Zindagi chahe thodi aisi thodi waisi ho Par maut badi shaandar honi chahiye

Koi mushrik ho ya kafir ho kisi ko issey kya matlab Har koi apne apne girebaan mein jhank kar kyun nahi dekhta Ke kitna andhera hai dil mein

Makin tera ji iss liye ghabra raha hai makan mein Ke tu dilo dimaag ke khidki darwaaze bandh kar ke bhaitha hua hai