Skip to content
ShayariBooksA home for words.
Words for every feeling

Latest Shayari

A little shayari, a little reflection. Read words shared from the heart.

Share your writing ↗
6,861 piecesLatest published writing · Page 104
Love Shayari
Tamasha Na Ban Jaaye Meri Mohabbat Kahin, Iss Liye Apne Dard Ko Izhaar Nahi Karta. Joh Kuch Mila Hai Usse Mein Khush Hoon, Tere Liye Khuda Se Takraar Nahi Karta. Par Kuch Toh Baat Hai Teri Fitrat Mein Zalim, Warna Tujhe Chahne Ki Khata Baar Baar Nahi Karta!!
Love Shayari
Wahi Raat Ki Khamosi, Wahi Tanhaai.. Ye Hawayein Apne Saath Kisi Ki Yaad Bhi Le Aayi.. Hum To Bethe Khuda Ke Chand Ko Dekh Rahe Thay.. Fir Na Jaane Kyu Apne Chand Ki Yaad Aayi.. To Ye Ankhe Bhar Aayi..!
Love Shayari
Mat poocho ye mujhse ke kab yaad aate ho Jab jab saansein chalti hain bahaut yaad aate ho Neend mein palkein hoti hain jab bhi bhari Banke khwaab baar baar nazar aate ho Mehfil mein shaamil hote hain hum jab bhi Bhird ki tanhayon mein her baar nazar aate ho Jab bhi socha ke faasla rakhoon main tum se Zindagi ban ke saanson mein sama jaate ho Khud ko toofaan banaane ki koshish to ki Ban ke saahil apni aagosh mein sama jaate ho Chaha na tha main ne is paheli mein uljhna Her uljhan ka jawab ban ke ubhar aate ho Suraj ki roshni,chanda ki chandni Aasmaan ko dekhta hoon main jab jab Tumhari kasam bahaut bahaut yaad aate ho Ab na poochna mujhse ke kab kab yaad aate ho.
Love Shayari
चेहरे के रंग को देखकर दोस्त ना बनाना.. दोस्तों .. तन का काला तो चलेगा लेकिन मन का काला नहीं।

Your voice belongs here.

Share a thought, a poem or a story with the community.

Start writing ↗