Jab ishq kiya to
darna kaisa
Aag ka dariya
pi kar uss par utrenge
Words for every feeling
Share your writing ↗Latest Shayari
A little shayari, a little reflection. Read words shared from the heart.
Ishq nahi tha tab
hum bhi Nikamme hi they
Ishq hote hi mohammad
hum bhi adami kaam ke ho gaye
Ishq ne mohammad
insaan bana diya
Warna hum bhi adami
Adami Nikamme hi the
Ishq ne adami ko
insaan bana diya
Warna namaaz ne toh
Mohammad
Nikamma kar diya tha
जो बातें पी गया था मैं ,
वो बातें खा गई मुझको...✍️
~भाई का छोटा भाई
Dil ki baat kise sunaye yaaron
Yahaan koi sunneywala nahi
Teri raahon ke kante
khud tujhe hi chunne hoge
koi aur chunnewala nahi
Kya jane kab
kiski baari aa jaye
Kab kiske ghar
maut ki savari aa jaaye
Iss mausam maut ki
barishey ho rahi hai
Lo aaj savere savere
maut ki ek aur kabar aagayi
21/01/2021
FAKEERA THE FAKIR BADSHAH SAAB
Tum mujhe bhool jaoge
ye pata hone ke bawajud bhi
maine tum par aitbaar kiya
Muddate guzari maine
tumhara intezar kiya
Bas pyaar kiya pyaar kiya
Humse rabta
kayam rakho
Hum bade
kaam ki chiz hai
Tum zara apna
nakab to utaro
Muddatein ho gayi
tumhara chehra dekhe hua
Kaise pata chalega
kaun apna hai kaun paraya hai
Jo bhi milta hai woh
Mukhauta laga kar milta hai
Adami bhi na jaane kis
Kism ka jaanwar hai
Insaanon ki tarha
kyun nahi rahta
Insaan agar hai
Jannat ki lalach mein
log gumraah ho gaye the
Auron ko bhi khadde mein
Gaadh diya aur khud bhi
Kabrgaah ho gaye the
Roz suraj nikal ta tha
Roz subha hoti thi
Par zindagi ki kabhi
Saher na hui
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗