Sufiyon ke dhol nagadon ne
Islam ko jagaye rakha hai
warna Islam kab ka so gaya hota
Talwaaron ke zor par riyasatein
zyada waqt Hukumat nahi kar pati hai
Words for every feeling
Share your writing ↗Latest Shayari
A little shayari, a little reflection. Read words shared from the heart.
मैं खुद ही कर रहा हूं अपनी तलाश ,
यह देख लो मैं हूं जिंदा लाश....✍️
~~भाई का छोटा भाई~
??
Chhot jigar par khaakar bhi
chehre par muskurahat rakhte hai
Tum hume chaho ya na chaho
hum dil mein tumhari chahat rakhte hai
Dil chahe jalkar
khaak ho jaye
Zubaan se dhua
Nahi nikalna chahiye
Matlab uski aach bahar
Nahi aani chahiye
Apne andar bhi
bahot kala hai
Kyunki apna dil
bahot jalaa hai
Dil mein kitna hi
dard kyun na ho
Chehre par shikan
nahi ane dena
Warna duniya jeene
Nahi degi
Bahot Ghana aur hara bhara
pedh hai mohabbat ka
koi chhota sa pauda nahi
Taqt o taaj ke aagey nahi jhukti
Nahi daulat ke aagey bikti hai
Ye mohabbat hai
dilon ka mazbut rishta
Mohabbat mein sauda nahi
Ussey hi dozakh ki aag mein
Dhakel do
Jo dozakh se masoomon ko
Darata hai
Wohi insaaniyat ka katil hai
Jo jannat ke kisse sunata hai
Fakiri mein zindagi guzar
karli humne
Umr tanhaai mein basar
karli humne
Tum jahaan chhod kar
gaye they humko
Zindagi wahin tumhari
yaadon ki nazar karli humne
Bas dil hi jaanta hai
Ke meri unn se kya nisbat hai
Baat akhir yahi sach hai ke
Ek tarfaa mohabbat hai
Tumhe apne be-jaan murda
samaan ke sajawat ki padi hai
Mujhe ye fikar
ke apni zinda bikhri hui
zindagi ko kaise samethun
Saanson mein aaj bhi
teri hi khushboo hai
Tu hi mere jism o jaan hai
Tu hi meri rooh hai
Aaj bhi yaad hai mujhe
kal ki woh saari baatein
Kis tarha kati thi humne
Woh tanha tanha raatein
Yaadon ke jungle mein
ghoom raha hoon
Guzre hua daur ko
dhoond raha hoon
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗