Honton par muskurahat bhi aayi
Ankhon se ansu bhi aayey
zindagi ke bas yehi do sachche
Tajurbe hai
Words for every feeling
Share your writing ↗Latest Shayari
A little shayari, a little reflection. Read words shared from the heart.
Honton par muskurahat bhi aayi
Ankhon se ansu bhi aayey
zindagi ke bas yehi do sachche
Tajurbe hai
Zindagi ko haseen tohfa deta hai
Woh burey halaat mein bhi
muskura leta hai
Aaj daman mein phool hai
Kal kante bhi ho sakte hai
Aaj mehfil mein raunak hai
Kal sannatey bhi ho sakte hai
Zindagi ne zindagi ko
zindagi bhar uljha diya
Maut aayi maut ne
zindagi ki har uljhan ko
Suljha diya
Zindagi par dukh ki chadar chah gayi
Yaar se judai ki ghadi as gayi
Zindagi mein kya kamaya hai
Bas sab teri yaadon ka sarmaya hai
Na koi arzu na koi khauish
na koi tamanna na talab
Main toh dewaana hoon
mujhe bas apni dewaangi se matlab
Zindagi toh zara hamari dekho
Kaise kaise rang badalti hai
Adami kitna bhi samajhdar ho
Daulat ka paani karta hai
Ishq mein adami
aksar nadaani karta hai
Pandit mulla padari
apni hi manmani karte hai
Adami se toh kya
Ishwar Allaah God se bhi
Be imaani karte hai
Pandit mulla padari
apni hi manmani karte hai
Adami se toh kya
Ishwar Allaah God se bhi
Be imaani karte hai
Na ved na puran mein
Zindagi ka ilaaj ho sakta hai
Par maut ka ilaaj
Na gita na bible na koran mein
Mujhse nafrat na kar tu
aye Namaazi
Ke woh mera bhi khuda hai
mai bhi usko pyara hoon
Main kafir hua to kya hua
Main bhi uska dulara hoon
Mujhe jaane do jane do
apni manzil pe jaane do
Ke iss duniya mein ab
mera kahin dil hi nahi lagta
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗