Chahu aur deep prakwalit maano sitare jamee par..! Har adhar pe muskaan, mithaaiyaan haatho par..! Ullasit hai samst jag, kar raha pukaar umang ki, Lagta hai maano ye sukhad swapn hai is dhara par..!
Aaine ke saamne khud ko khud se ajnabee paayaa.. Jise samjha tha saaya apna kambhkht kisi aur ka nikla..!
Dekhte dekhte kitne phaasle ho gaye..! Hum na rahe hum, tum bhi ye kya ho gaye..! Na pehchante ho khud ko na humain.. Ae dost aise to na the, ye silsile kya ho gaye..!
Kuch bhi nahi tumhare paas par phir bhi guroor itna hai..! Dokhe mai ho kisi aur ke, phir bhi khu pe yakeen tumhe itna hai..! Nahi jaante ho tum kis raste par jaa rahe ho ae dost, Guroor mai hi mite jaa rahe ho, samajh jaao ab bhi bas itna hai..!
Kehne ko to tum hamare the par nahi..! Wo lamhe saath guzaare the par nahi..! Tum the yahaa par nahi the yahaa.. Jo bhi tha wo kisi aur ke liye, humaare liye nahi..!
Sochte sochte sochte chale gaye... Haath se waqt nikal gaya..! Jab mude wapas tujhe paane ko, Tab tak tu bahut door nikal gaya..!
Ek din aise hi ghar ke aangan mai chidiya ko dekha..! Uski chanchal addayein, wo sheeshe pe choch marna..! Ye sab kudrat hi to hai jo itni sundar hai, Bahut khoobsoorat hain ye vaadiya, ped or kharna..!
Aaj phir teri yaad aayee...! Wo teri bholi surat yaad aayee..! Bahut kuch kahaa tha tumne apne baare mai, Saath aate hi ek dam badle nazar aaye..! Soch rahe hai is lambe waqt mai ab to reham aayega tumhe, Afsos, tum to apni purani yaado se nikal hi na paaye..! Kehte hai agar aap sache ho to sab acchha milta hai, Ye achha hai kya jo Hamaari kismat mai tum aaye..! Kehne ko to humai samajhne ka dam bharte ho, Jab wqt aaya to tum sabse pehle door khade nazar aaye..!
Ye zindagi bade bade imtihaan leti hai... Dekhna hai tu paar karta hai ya fisal jaata hai...!
Ae dost humne tujhse kya maanga tha sirf bharosa.... Tune diya bhi par peeth mai khanjar ghop diyaa... Tab bhi na samjhe the ye kya hua, kyu hua, Thak gaye soch soch ke, tu hi bataa, tune ye kyu kiya..!
Yaad hai mujhe wo darad bahara safar..! Jab koi bhi saath na tha, apno ki nahi thi khabar..! Humnai tuab bhi himmat na haari saamana kya, Aaj kat raha hai khushi mai zindagi ka safar..!
Maana ki kharaab waqt aata hai..! Tamaam duniya ke dard deta hai..! Mat ho itna maayus, uth aur samna kar, Jo bahaduri dikhata hai wohi paar kar paata hai..!
Bahut khushkismat hai hum jo sab mile, tu mila..! Jiske [aas har marz ki dawa hai wo mila..! Kabhi humne soch na tha..! Bahut kismatwaale hain jo tum jaisa dost mila..!
Zindagi kadam kadam pe imtihaan leti hai..! Tu apni manzil ko mat chhod..! Tu chalta chal chal, chalta chal, chalta chal..! Is duniya ki parwah chhod..!
Duniya ke sabhi phholon ki khushbu tumhe mile..! Aasman sa vishaal tum bano..! Titli ki tarah khushi udti rahe tumhari zindagi main..! Appko janam din bahut mubarak ho..!
Sara is offline
vishnu is offline
Aditya is offline
Dhiraj is offline
Donna is offline
Ranu is offline
Indrakant is offline
sudhir is offline
Ashutosh kumar is offline
Ramlakhan is offline
Rahul is offline
Shantanu is offline
Deepak is offline
shailendra is offline
rahul is offline
Please Login or Sign Up to write your book.