Skip to content
ShayariBooksA home for words.
Words for every feeling

Beautiful Shayari

A little shayari, a little reflection. Read words shared from the heart.

Share your writing ↗
237 piecesLatest published writing · Page 14
Beautiful Shayari
Panchi ke par ki tarah Armaanoon ke samandar ki Tarah Vishaal Hai tumhari tamanaaye mere liye Shukriyaa main karoon khuda ki is enaayat Ka Bhatakta yu rahta kaafir ki Tarah Mil Na jate tum banane zindagi ko roshan Beet jati ye zindagi musafir ki tarah
Beautiful Shayari
Bas ek se hi hamari yari Nahi gaalib Yaad aate hi unki... Neend bhi rukh badal leti hai Sochte hain khaboon main milain unse Le unhe upni aagoosh maain Neend bhi ruswaa Hai unki taraf... Haan bhi to Nahi kehti Na bhi nahi
Beautiful Shayari
Zindagi ki daud main Kuch yaar piche reh gaye Nauka ke kuch patwaar piche reh gaye Dil chahe wapas daud kar paa loon unhe Lauta aaoon wo beete hue pal Kuch judte Na judte diloon ke taar piche reh gaye Chera badalne ki chaah main meri Maasoomiyat ke Kuch avatar piche reh gaye Na paa paoon wo pal wo meri pehchaan Ek khushnuma bhule dost ko yaad karoon Aaj Yaadoon ki pankti main jo ek kram vaar piche reh gaye
Beautiful Shayari
Kuch dhadhkanain hum sun Na paaye saaloon se.. Kuch aansson chup kar humse sarak gaye gaaloon se.. Shayad reh gayi Kuch kami hamare pyar Main baatain Kuch reh gayi ekraar main to Kuch Intazaar main
Beautiful Shayari
Tere dard se pis kar ye koyala heera Nikla Hai. Jasbaato ke saath khaboon Ka ye zakhira Nikla Hai Tujhse juda hone Ka gam Kyoun karoon main. Tune Jo diya Hai.. Use sametne ye fakira Nikla hai
Beautiful Shayari
बिखरा हुआ हूँ मै. कुछ रंज है, कुछ कड़वाहट है, अपने आप से ख़फ़ा हुआ हूँ मै. कुछ वादे, बातें, सूखे पत्ते और बहुत सारा दर्द, ना जाने क्या क्या लेके बढ़ा चला हूँ मैं. अजीब सी कशमकश रहती है दिल में ना जाने क्यूँ, फिर भी दिल को बहलाकर बढ़ा चला हूँ मैं. लोग, दुनिया, समाज सबको दिखता है सिर्फ रंग चेहरे का, किसी को क्या मालूम कि कितना बिखरा हुआ हूँ मै. किसी को क्या मालूम कि कितना बिखरा हुआ हूँ मै.

Your voice belongs here.

Share a thought, a poem or a story with the community.

Start writing ↗