Baarish ki saundhi phuhaar Hai Subah ki Thandi bayaar Hai Dil main ye sama Na payega Mera samandar sa Jo Pyaar hai
Khushbu bhi Itni door se udd ker aati Nahi Khabar tere ahsaas ki Hawa bhi lati Nahi Lekin use Pata nahi Tera mera rishta Dil Bolta Hai Dil sunta Hai. Ise Kisi zariye ki Yaad aati nahi
Usme tera ghata mera kuch nahi jaata Ziyada pyaar ho jata to main cheh nahi pata
Khusi kaha hum to game chahte hain Khusi to unhe DE do jinhe hum chahte hain
Tammanaye bhi meri palkoon Si jhapak jati Hai... Bheed main soonsaan hone ko Hai waqt Thoda... Bulandiyoon main gumnaam hone ko Hai waqt Thoda
Zindagi jaane kis waqt main karwat badal jati Hai Justajoo ke liye waqt hai Thoda... Beerookhi ke liye Aur thoda
Panchi ke par ki tarah Armaanoon ke samandar ki Tarah Vishaal Hai tumhari tamanaaye mere liye Shukriyaa main karoon khuda ki is enaayat Ka Bhatakta yu rahta kaafir ki Tarah Mil Na jate tum banane zindagi ko roshan Beet jati ye zindagi musafir ki tarah
Dhadhkana Dil ne shayad band kar diya Kuch deer Yaad Teri phir bhi aakar chali gayi
Bas ek se hi hamari yari Nahi gaalib Yaad aate hi unki... Neend bhi rukh badal leti hai Sochte hain khaboon main milain unse Le unhe upni aagoosh maain Neend bhi ruswaa Hai unki taraf... Haan bhi to Nahi kehti Na bhi nahi
Baadalon ne aasmaan main aakar yun kayamat dhaayi Hai Jane Kyoun Chaand Na dikha zamin Aur aasmaan main
Zindagi ki daud main Kuch yaar piche reh gaye Nauka ke kuch patwaar piche reh gaye Dil chahe wapas daud kar paa loon unhe Lauta aaoon wo beete hue pal Kuch judte Na judte diloon ke taar piche reh gaye Chera badalne ki chaah main meri Maasoomiyat ke Kuch avatar piche reh gaye Na paa paoon wo pal wo meri pehchaan Ek khushnuma bhule dost ko yaad karoon Aaj Yaadoon ki pankti main jo ek kram vaar piche reh gaye
Kuch dhadhkanain hum sun Na paaye saaloon se.. Kuch aansson chup kar humse sarak gaye gaaloon se.. Shayad reh gayi Kuch kami hamare pyar Main baatain Kuch reh gayi ekraar main to Kuch Intazaar main
Tabiyat aaz shayad naasaz Hai Zara.. Aaj Mud kar Jo Na dekha yaar ne
Tere paas aane ki Maine keemat chukayi hai... Tere sang muskurane ki main Meri rehmat ye rang layi hai Haske roke mujhe ... mujhe mili ye judai hai
Tere dard se pis kar ye koyala heera Nikla Hai. Jasbaato ke saath khaboon Ka ye zakhira Nikla Hai Tujhse juda hone Ka gam Kyoun karoon main. Tune Jo diya Hai.. Use sametne ye fakira Nikla hai
deepak is offline
liladhar is offline
johnnyLip is offline
sanjeet kumar singh is offline
Ankush is offline
Rajesh is offline
DP is offline
Kuldeep is offline
Pawan is offline
Satyam is offline
Meena is offline
JamesEdipt is offline
SB is offline
Girijesh is offline
SAJAN is offline
Please Login or Sign Up to write your book.