Inspirational Shayari

Dilon dimag ko katti hai zaban tez aari hoti hai Woh kya jaane khamoshi ki zaban sab se pyaari hoti hai

Tere paas taaqat hai Tu banduk tankar khada hai Mere paas hausla hai Main sina taan kar khada hoon

Mar kar jism se jab meri rooh mujhse roothi thi Jitni bhi kitaabey padi thi sab jhoothi thi

Adami agar mar bhi jaye toh Zindagi ka Safar kabhi rukta nahi Zindagi ka carvaan chalta hi rahta hai Woh maut ke aagey kabhi jhookta nahi

आदमी अगर मर भी जाए तो ज़िंदगी का सफर रुकता नहीं ज़िंदगी का कारवां चलता ही रहता है वोह मौत के आगे कभी झुकता नहीं

Woh jashn manati hai sapne sajati hai Zindagi shor machati hai Aur maut dabe paanv khamoshi se chup chaap chali aati hai

Maut ke panje se zindagi ko chuda ni ki koshish Arey murkh maut to niyamat hai woh tujhe zindag ke panje se chudaye gi

Waqt ka kaam hai piche nahi mudna Aur yaadon ka kaam hai picha nahi chhodna

Mere marne ke baad meri laash ko gatar mein phenk dena Adami bhi janwar hai itna samajh lena

Main apne armaanon ko sine mein dabakar nahi rakhta Kar deta hoon woh jo mere dil mein aata hai

Main apne armaanon ko sine mein dabakar nahi rakhta Kar deta hoon woh jo mere dil mein aata hai

Bahot pyar mohabbat se rahte hai hindu musalman ka aafas mein kya bair hai Arey ye toh dharm mazhab ke thekedar aur Raj netaon ka hawa mein failaya hua zaher hai

Mujhe kisi ke saath ki zarurat nahi Main tanha tha main tanha hoon main tanha hi rahunga

Jitne bhi harf hai sab se jyada asar alif mein hai Yaa allaah tera naam lenewala har banda taqlif mein hai

Tanhai se mat ghabrana khud ko akela mat samajh na YAA ALLAAH main tere saath hoon