Teri aayatey tere shloke sunne mein achche lagte hai Magar tasir yane ki asar dono mein ek paise ka bhi nahi hai
Arey tu bimar ki taqlif ko nahi samajhta hai Bimari kuch aur hai aur ilaaj tu kuch aur bimari ka karta hai
Arey tu bimar ki taqlif ko nahi samajhta hai Bimari kuch aur hai aur ilaal tu kuch aur bimari ka karta hai
Abhi ek jaga pe baith gaya to main uthnewala thodi hoon Sivay allaah ke kisi aur se ruthnewala Thodi hoon
Galib ka main baap hoon Iqbal mera pota hai Meri shayari sunkar woh bhi bada khush hota hai
Teri jholi agar khaali thi mere allaah toh tune mujhse kuch bataya kyun nahi Main apne daman se teri jholi mein kuch tukde daal deta
Main niche se thoda ghoom ke aata hoon Thodi si sharaab pike zara sa jhoom ke aata hoon Mandir masjid dargahon ki chaukhat bahot chum li zara kisi tawayaf ki hateli chum ke aata hoon
Mere sawaal ka jawaab nahi tere iss jawaab mein Sab ulti sukti bakwaas likhi hai teri bakwaas kitaab mein
Baatein to bahot badi badi karta hai apni kitaab mein Phir kisi kam diya kisi ko jyada diya Aisi galati kaise kar di hisaab mein
Har chiz mahngi ho gayi hai bas adami ho gaya hai sasta Utha zindagi ka basta aur pakad maut ka rasta
Paanv mein kaante chubhte hai phoolon bhare raston se Dil ko gahre zakhm milte hai dil ke gahre riston se
Tu mujhe udta hua parinda nazar aata hai Andar se tu mar chuka hai upar se zinda nazar aata hai
Jis paap se darta tha wohi paap nikla Arey gandul samajh kar pakda tha saanp nikla
Ye duniya maut ka nagar hai Yahaan adami ka anjaam ya toh chita hai ya toh kabar hai
Aniket is offline
Harlemmansuri is offline
Mohd is offline
sushil kumar is offline
Siraj is offline
Praful is offline
Rajendra is offline
Adarsh is offline
DEEPAK is offline
Priyanka is offline
Durga is offline
Chander is offline
Rupesh is offline
Shirsh is offline
Ramakant is offline
Please Login or Sign Up to write your book.