Inspirational Shayari

Dekh liya na tune duniya ka dastoor Gunahgar azaad ghoom rahe hai Sazaa kat rahe hai be kusoor

Mujhe kisi baat ka hosh nahi raha Ahsaas nahi raha Aye khuda mujhe ab tujh par aitbar Nahi raha vishwaas nahi raha

Tum kya karonge padkar Mere zindagi ki kitaab Isme sukh jara jara aur Dukh hai be hisaab

Khoon hi khoon ke rishton se Khoon ke rishton ka paani karata hai Biwi bachchon ke pyar mein maa baap bhai bahen se Be imaani karata hai FAKEERA THE GREAT FAKIR BADSHAH SAAB

Hum to ishwar allaah god teeno Ka locket banakar gale mein daal kar Ghumte hai Aur agar dil chaha to jeb mein rakte hai Samjhe ke nay samjhe

Hum to aise Insaaf pasand hai Ke Ishwar Allaah God ko bhi Kathare mein khada karke Mukadma chalte hai Aur sazaa bhi suna dete hai

Kahe Khusro Rahim Galib Mir Kabir Hum to sab bas naam ke FAKEERA hi sachcha SHAHENSHAH AE FAKIR

Ishwar Allaah dono pade kiska karun jaap Guru govind dono na jane kaun kiska mai baap

Kabira Rahman galib khusro mir Kare akaash se bakhan Hum sab ka guru FAKEERA THE GREAT FAKIR BADSHAAH SAAB Hum sab se FAKEERA mahan

Zindagi na lambi honi chahiye Na chaodi honi chahiye Zindagi unchi honi chahiye Gaheri honi chahiye

Koi batayega ke ye Shaitaniyat nahi to aur kya hai Insaaf ke naam par koi kisiki kalam kar de Kitna zaher bhara hoga

Sajda kar kar ke Logo ka mattha kala hua Aye allaah magar afsos Unke zahen mein ujaala na hua Jahil se Abu zahil ho gaye

Malik ka shukar hai Kabhi allaah se kuch Nahi maanga Na hi kabhi kisi chiz ki ummeed rakhi

Na koi jannat hai Na hi koi dozakh hai Sab faltu ki bakwaas hai Sab faltu ki bakbak hai

Sab padha tha sab bhool gaya Kuch yaad nahi Har koi yahaan Kisi na kisi ka gulaam hai Yahaan koi azaad nahi