Inspirational Shayari

Waqt agar pade toh roti ki bhikh maang lunga insaan ke paas Par koi galey par talwar bhi rakhe Toh duaa ki bhikh nahi maanguga Kisi bhagwaan vagayra vagayra Ke paas

Rishtey barkarar hai Par mohabbat nahi rahi Koshish karne se khuda bhi mil jaata Par tumhari ibadat ka Tarika nahi sahi

Jitni rangeen thi zindagi Utni hi gamgeen ho gayi Jab se jaannashin kho gayi Aahista aahista aur sangeen ho jayegi

Bahot koshisey karte hai log Apne kalaam mein mithas lane ki Magar dil mein itna dard bhara hota hai Ke kalam se bhi kadwas hi nikal ti hai

Ishwar allaah god vagyara vagyara sab bina matlab ke mahez kore shabd hai Inse kuch magna kuch pane Ki ummeed rakhna jahaalat ki Had hai

Aye zindagi tera matlab kya tera maqsad kya Teri hadh kya Teri sarhadh kya

Kya din bhar namaaz ka Gaana gata hai Kya din bhar allaaho akbar chillata hai Jo allaah ko yaad bhi nahi karta hai Allaah ka naam bhi nahi pukaar ta hai Uska bhi daana paani chal jaata hai Tu koi duniya ka malik nahi hai Kyun apne aap par itrata hai

Uchaai par chad ke loudspeaker par Allaaho akbar allaaho akbar chillane se agar kudrat khush hoti to Toh insaan par itni apattiyan vipattiyan Sankat musibat pareshaniyan kaher bimariyan dukh taklif aafat zalzaley sukha Bhukhmari sailaab toofaan sab nahi aate aur khas karke corona virus jaisi mahamari to kabhi nahi aati Toh maherbani karke kisi bhi gumaan mein Na rahe Ke tumhare kuch karne ya padh ne se sansaar ka nizaam chalta hai Hosh mein aao FAKEERA THE GREAT FAKIR BADSHAH SAAB JO CHAHTE HAI WOH HI ISS SANSAAR MEIN HOTA HAI

Zindagi jeene ke liye mili hai Usey khulkar pyaar mohobbat se guzaar Ye namaaz roze tilawat puja path prayer Vagaira vagaira mein waqt barbad na kar Geet gaa sangeet suun nach jhoom mauj Mana issi madhyam se kudrat ko pukaar Khud bhi jeeo aur auron ko bhi jeene do

Tu kab kaisi tu kab kya Aye zindagi tera maqsad kya tera matlab kya

Zinda rahne ki vaje nahi pata Bas zinda rahne ke liye hi zinda hai

Har zakhm ka marham hai Har dard ka ilaaj hai Bas maut hi aisi hai Jo la ilaaj hai

Aisa bana kar rakha ho ya waisa bana kar rakha ho Chahe jaisa bhi banakar rakha ho Zindagi toh bas unhi ki hai Jinke baap dadaon ne Paisa banaakar rakha ho

Jis paap se darta tha wohi paap nikla Arey gandul samajh ke pakda tha saanp nikla

Zindagi mein kya kamaya hai Jo bhi hai sab yaadon ko sarmaya hai