Inspirational Shayari

Kab tak dusron ke banaye hua Khudaon ki ibaadat karega Ek apna khud ka khuda taiyar kar Aur uski ibaadat kar FAKEERA THE FAKIR BADSHAH SAAB

Jahaalat se bahar nikley bina kuch nahi hoga Aur hum jahaalat se bahar Niklege nahi chahe kuch ho jaye FAKEERA THE FAKIR BADSHAH SAAB

Woh namaaz mein bhi rupaye paison ki sochta hai Usey duniya daari ki fikar hai Usey bas daulat par hi bharosa hai Uski zubaan par allaah ka toh yunhi Zikar hai FAKEERA THE FAKIR BADSHAH SAAB

Din katta hai mar mar Nind nahi aati hai Raat raat bhar Aye ishq ye tera asar FAKEERA THE FAKIR BADSHAH SAAB

Ghar se masjid Masjid se gar ke bich mein Bahot modh aate hai Adami mar jaye toh Usey kabristan chodh aate hai FAKEERA THE FAKIR BADSHAH SAAB

Ibaadat woh jo aadmi ko insaan bana de Yeh sab ibaadatey to insaan ko Shaitan bana dete hai FAKEERA THE FAKIR BADSHAH SAAB

Baat bigad ne ke baad Baat samajh me aati hai Gardish ke daur mein adami ko Sahi galat ka hosh nahi rahta FAKEERA THE FAKIR BADSHAH SAAB

Gar Duaa Se Ya Prathana Se Kuch Haasil Hota To Mandir Masjid Ke Bahar Bhikh Mangnewalo Ki Bheed Jama Nahi Hoti FAKEERA THE FAKIR BADSHAH SAAB 09/09/2020

Bade Woh Jinke Dil Bade Hote Hai Dhan Ke Bade Kya Khaakh Bade Hote Hai FAKEERA THE FAKIR BADSHAH SAAB

Woh bhi ek daur tha Yeh bhi ek daur hai Kal choron me bhi imaan tha Aaj imaanwale bhi chor hai FAKEERA THE FAKIR BADSHAH SAAB

Ye duniya mitti hai Tu isko mitti hi samajh Aur tu kachra hai Tu khud ko kachra hi samajh FAKEERA THE FAKIR BADSHAH SAAB

Na Usne mujhe Shaad kiya Na Maine usey Shaad kiya Na Usne mujhe abaad kiya Na Maine usey abaad kiya Waqt ko maine mujhe Waqt ne Barbaad kiya FAKEERA THE FAKIR BADSHAH SAAB

Hamari nazar se kuch Nahi chupa hai Agar ishwar allaah god Vagayra vagayra hote To kahin na kahin Nazar aa gaye hote Apne ibadat gaah tootne Aur jalne se bachate hua Aur apne bina matlab ke Be asar bakwaas kitabe fatne aur jalne se bachate hua Savdhan jo khud apni Raksha nahi kar sakte Woh teri kya hifazat karege FAKEERA THE FAKIR BADSHAH SAAB

Ye duniya hi narak hai Dukh dard taqleef sab Bas yahaan hi hai Ek baar mar gaya to Phir sab swarg hi swarg hai FAKEERA THE FAKIR BADSHAH SAAB

Chahe ho poonam ya phir ho amaavas Bahaddur aur nidar rahe jas ke tas FAKEERA THE FAKIR BADSHAH FAKIR