Latest Shayari

Aap par aitbaar kar ke jo dhoka khaya hai Woh dhoka humne apni bewakufi se kamaya hai

Khel ne ko jab itne khel hai duniya mein To mere dil se hi kyun tum ne itne khel khele

Koi lafzon se jaadu karta hai Koi lafzon se bekaabu hota hai Ye lafz hi hai jo izzat baksh ta hai woh lafz hi hai jo be-aabru karta hai

Koi lafzon se jaadu karta hai Koi lafzon se bekaabu hota hai

Aage ki taraf lambi chalang lagane ke liye Thoda piche ki taraf jana padta hai

Zindagi mein itne dhoke khaye hai mohabbat ki raah mein Ke ab to kaagaz par bhi mohabbat likh ne ko dar lagta hai

क्यों कर रहे हो किसानों पर अत्याचार , मत करो इन पर लट्ठों से प्रहार , यही तो है अपने देश की आन बान शान है , तभी तो लोग कहते हैं अपना हिंदुस्तान....✍️ ~~भाई का छोटा भाई~

Joh aaj tumari zindagi hai kal jab wohi log nahi rahenge Toh iss zindagi ka kya karoge Kisi tanhai mein ro ro kar kya zindagi zindagi kheloge

Din raat allaah allaah karte ho Allaah kaun hai kya hai mahez ek lafz ke ek shabd ke siwa uski koi alamat ho to batao to zara Usne baaton ke siwa kya diya hai duniya ko koi niyamat ho to batao to zara Ye sab jo bhi kuch hai Allaah ke Lakhon karodon saal pahle ka hai Uss waqt ka allaah likha hua koi Kagaz koi nishaan ho to batao to zara Tum sab dharm mazhab religion ke thekedaron jhoot ke pulindo insaaniyat ke katilon Fakir Badshah Saab aa gaye hai apni khair khairiyat chahte ho to chup chaap yahaan se nikal jaao to zara Aur haan jaate waqt apne sab farzi khudaon ko bhi apne saath le jaao to zara

Kabhi rangin kabhi gamgin kabhi sangin hai Waqt ko samajh na mushkil hi nahi na mumkin hai

Guzar ta waqt aksar sabak sikha ta jata hai Woh bhi waqt hi bata ta hai Kaun kitna sikhta hai kaun kitna samajh pata hai

Tajurba itna toh haasil hai zindagi ka Ke waqt kharab ho toh saath nahi milta kisi ka

Akhir ek din sar patak patak kar marega Murda dili ka zamana hai Jinda dil bankar kya karega

Unse mohabbat ke bad mohabaat ka nazariya hi badle gaya Dil mein mohabbat ka jo dariya tha woh dariya hi utar gaya

Waqeef bhi tha main uske ravaiyye se Par mohabbat ne gaafeel kar diya tha