Latest Shayari

Woh samajhte hai Ke woh humko samajhte hai Hum samajhte hai ke hum ko To hum bhi nahi samajh paye Phir woh hum ko kahaan se samjhege

Ek arsey se hum unke muntazir rahe Jab ke hamare bhi kayin muntazar the

Bas saans chal rahi hai aise Main mara bhi nahi hoon aur main zinda bhi nahi hoon jaise

Ahsaas hi agar mar Jaye Toh phir kya nazdikiyan Aur kya duriyaan

Main apne maashre mein Bahot badnaam hoon Kyunki main ek Bekhauff insaan hoon

Gahri chot se patthar toot jate hai Toh phir insaan ki kya hasti hai

Tumhare shaher ki chhaanv mein jab Itni tapish hai Tab dhoop mein kitni Agan hogi

Hum jinki aahat par bhi chauk jate hai Woh hamari dastak ko Bhi nazaar andaaz karte hai

Baat bigadti ja rahi hai Woh rang badalti ja rahi hai Dhire dhire aahista aahista Jism se jaan nikalti ja rahi hai

Main duniya se duniyadari se Dur hi rahta hoon Main dosti yaari se Dur hi rahta hoon

Saans hai tab tak ummid hai Aas hai Kal to woh aayege milne Aisa ek kayaas hai Aisi muddaton ki pyaas hai

Khudi ko kya buland karega Kisi ki awqaat hi kya hai Ke khuda khud bande se puche Kabhi Ke bata teri razaa kya hai

Khudi ko kar rahem Dil itna Ke har mehfil mein aakar Khuda bande se khud kahe Ke tuhi mera nek banda hai

Na koi shikayat ki na fariyaad ki Woh chup chaap mehfil se uthkar chal gaya

अच्छा हूँ , तभी तो बुरा हूँ....✍️ ~भाई का छोटा भाई~