Inspirational Shayari

Amiron par khazane lootata hai Garibon ko angutha dikha ta hai

Raat to kat gayi din kaise guzrey ga Zulm karega to kya khoon nahi ublega

Teri duniya se main kya lekar jauga Main nanga aaya tha main nanga hoon mai nanga hi jauga

Jo mahnat kar ke anaaj ugate hai Tere farishtey unhe hi bhukha sulate hai

Zindagi se dar bhi jau magar maut se nahi darta Main janta hoon tu kisi se pyar nahi karta

Tera wajud agar hai toh samne aakar dikha Tera koi naam hai to dil mein aakar likha

Tujh mein dam hai toh duniya mein ek hi naam se pahchana ja Warna band karde apna naach gaana

Zalimon ko khoon pilata hai Gareebon ko bhukha sulata hai Apne aap ko khuda kahlata hai

Khud ko khush dil aur khush mijaaz kahlata hai Aur dusron ke maiyat par jake muskurata hai

Ya khuda tu agar mujhe panoti deta hai Toh main bhi tujhe chunoti data hoon

Aye khuda kutte ki dum ek bar sidhi ho bhi sakti hai Par teri duniya sidhi honewali nahi

Haath mein haath dalke chalte hai Dar nahi lagta sab tujh ko dekh ke jalte hai

Maa baap ko bhulega Soch raha hai jannat ke Jhule mein jhulega

Sar jhukata hai Sajde mein Badnaam bada hai kazbe mein

Dhaar nahi hai talwaar mein Dushman khada hai kataar mein