Inspirational Shayari

Dekh kahin teri zindagi na guzar jaye Intezaar ki umr badi lambi hoti hai

Subha hote hi nikal ta hoon zindagi ki talash mein Zindagi saath hi hoti hai magar ussey mulaqat nahi hoti hai

Subha to roz aati hai Suraj bhi roz nikal ta hai Par gareeb ki zindagi ka Din nahi badal ta hai

Zindagi dukh sukh ka taana baana hai Pal ki khabar nahi par mahel to bana na hai

Har marz ka ilaaz alag hota hai Par har nafrat ka ilaaz mohabbat hai

Shikwa shikayat na kar jaa jaakar kalai marod Itna hi usme gurur hai to jaa kar uska ghamand tod

Bhool jaa sab woh kaha suni jaa aur jaa kar gale laga le yaar ko

Itni talash na karo kisI ki Ke khud tumhari Hi pahchan kho jaye

Andhere se laut aaja roshni mein Woh phir aayi hai zindagi mein

Ye tanhai ye akelapan dans ne lage hai ab jeena mushkil hai mohabbat ki tashnagi mein Tu phir laut aaja zindagi mein

Jab tak dharm mazhab religion ke saanp insaaniyat ko danste rahege Tab tak insaanon ke gale mein tabai barbadi ke phande kaste rahege

Insaan apni hawas ke haathon barbaad hai Khamakha badnaam hai mohabbat

Insaan se insaan ko nafrat karna sikha te hai sab Insaaniyat ke chehre par ek bad numa daag hai dharm mazhab

Insaan se insaan ko nafrat karna sikha te hai sab Insaaniyat ke chehre par ek bad numa daag hai dharm mazhab

Zindagi ki tez Raftaar se adami haar kar rah gaya Main to doob gaya Main to bah gaya Achcha achcha yehi kah gaya