Skip to content
ShayariBooksA home for words.
Words for every feeling

Latest Shayari

A little shayari, a little reflection. Read words shared from the heart.

Share your writing ↗
6,861 piecesLatest published writing · Page 179
Beautiful Shayari
जो दूर हो कर भी पास होने का एहसास दिलाता हैं,जो अपना ना हो कर भी अपनापन दिलाता है,जो हमारे दिल मे रहते है उनसे दूर नहीं रहा जाता है, सही मायनों में इश्क वही कहलाता है।
Best Quotes in Hindi
मत भिड़ना मेरे दोस्तों से कहीं शहर में , नहीं दुनिया तुम्हारी लाश पाएगी नहर में , मैं ना रहूं तो कोई असर नहीं पड़ता , मेरे दोस्तों को कोई फरक नहीं पड़ता , सच कहूं तो आज भी मेरे दोस्त रखते हैं मुझे दिल में , तभी तो जब शहर जाता हूं तो दुश्मन छुप जाते हैं बिल में , आज भी अपना बहुत कहर हैं , भूल गए क्या तुम रीवा अपना पुराना शहर है , मत भिडना मेरे दोस्तों से वो ऐसे छोड़ते नहीं , जब तक ढंग की हड्डियां तोड़ते नहीं , कहीं हाथ कहीं पैर कहीं घुटना मोड़ देते हैं , जब दुश्मन की जान निकल जाती है तो छोड़ देते हैं , सच कह रहा हूँ मत भिडना मेरे दोस्तों से कही शहर में , नही दुनिया तुम्हारी लाश पाई नहर में , वो जिंदगी जीते है अपने रूल से , किसी बेगुनाह को नहीं मारते भूल से, वो दुश्मन से मिलते हैं अनजान से , फिर उसे मार देते हैं जान से , मत भिडना मेरे दोस्तों से कही शहर में , नही दुनिया तुम्हारी लाश पाई नहर में , मेरे दोस्तों के अंदर कोई नहीं है दया , मार मार के सब कुछ करा लेत…
Best Quotes in Hindi
दिल को संभालने का कोई और तरीका निकाला जाए l लूटते हैं जो चैन औरों का,,,, कभी उनके घर भी डाका डाला जाए ll
Sad Shayari
" पर सच कहूं " ............... ( A story ) Tumhare mujhko khud se dur karne ke vo akhri Pal aaj bhi yaad aa jaate hai , jab kaha tha tumne ' I am not feeling good with you yaar ' ...Ab mujhe tumse nahi hai pyaar . ....Na Jaane kab vo 1 saal 1 mahine aur 16 din baad tumko realise ho gya ki tumko pyaar nhi , hongi shayad tumhari apni koi mazburiyan nayi .... Par Sach kahu ...vo tumhare shabd mujhe choobh rahe the bahut , vo pehle wali tum ko mai dhoond raha tha bahut . Par sach kahu ...tumhari khushi to mene dekh hi li thi mene tumhare alag jaane mei ...Haan mene kaha tumse usdin milne ke liye .. Haan mene Zid bhi ki thi .... Par sach kahu ....jo mai kar raha tha zid tumse milne ki ...tumhe milna to chahta tha par tumhe Rokna na chahta tha ...haan mai toot raha tha andar se bahut. Par sach kahu ....Haan vo saare pal ek baar fir se jeena chahta tha mai , tumhe jee…
Sad Shayari
" मैं ठहरा हूं वहीं " ( WAQT ) Mai Ruka hu vahin usi waqt mei Chale Gaye tum jaha se Mai usi waqt mei Thehra hu Muskura kar Baat ki thi akhri Baar Hue the akhri Baar Rubaroo Mile the tum akhri baar jab Uss pal mei hi jee raha hu Ab Mai Ruka hu vahi unn kahaniyo mei Tumhari unn pyar bhari nadaaniyo mei Uss hasi mei tumhari , uss har ek khushi mei tumhari Mai Ruka hu vahi usi waqt mei Jab mujhko har waqt bulaya karte the tum Apna har haal btaya karte the tum Tum to Raabta na rakh paaye uss waqt se jyada Par uss waqt ko har waqt jiya tha mene , Kehte hai sab ki waqt hamara bi aayega kabhi Par uss waqt ko hi apna waqt maan liya tha mene . Vo waqt ...mai thehra hu vahi usi waqt mei Bhulkar uss waqt ko tum to aa agye ko kaafi aagey ab shayad Par thehra hu vahi , usi waqt mei Jo mujhe mera sa lagta tha Jisme Baat tumhari hoti thi , jiski har s…
Sad Shayari
" मैं लिखता हूं तुझे " Mai Likhta hu tujhe kuch ias tarah se Har shabd ko likhkar Ro deta hu bas Fir se unn yado mei khud ko kho deta hu bas Ab dhundta hu tujhe apni shaayario mei mai Kuch der yu fir se kuch jee leta hu mai Teri kahaanio mei hi bas ab tujhse mil leta hu mai Hai kehne ko itna kuch tere baare mei Har Roz meri dairy mei ek hissa ban jata hai Khayal se khayal judte hai , anshu girte hai Aur teri mohabbat ka ek naya kissa ban jata hai Jab saath the tum tab meri shayariyan auro se anzaan thi Bas tujh tak jaati thi , tere ishq ki pehchan thi .. Mai likhta hu tujhe ab kuch iss tarah se Tujhko mai paa leta hu kuch der Khud ko yu azmaa leta hu kuch der Ishq fir tumse nibha leta hu kuch der Mai likhta hu tujhe kuch isa tarah se .....
Sad Shayari
" पूछे कोई तुमसे " puche koi tumse mere Baare mei , Keh dena koi khaas nahi tha ... Ek shaqs Mila tha yuhi , Jo ek galti kar baitha tha Jo haq mene na diya tha usko , Bas vahi kar baitha tha .... Vese to kehta tha dost mujhe , Par mujhse ishq kar baitha tha Keh dena ki vo tariffe mei yuhi bewajah hi karta tha Dukh mei mujhe hasane ki koshi hazaar karta tha ... Kehne par bas mere yu daud ka aajata tha Bahane saath bitaane ke yuhi talaash karta tha Na jaane kya samajh baitha tha Naa jaane kya jaan baitha tha Sapno ko bhi mere apna maan baitha tha . Nasamajh tha shayad , ya sochkar sab karta tha Bhulkar khud ko bas parwaah meri karta tha Kabil nahi tha kabhi mere , Na usme hunar koi khaas tha . Bas Bewakoofiyaan si karta tha Bewajah hi mere liye , ankho mei anshu bharta th…
Sad Shayari
" मैं खुश हूं " - 2 Jab kuch naye Sapne Saza liye tumne To tumse judey apne har ek sapne ko mujhe Raundana pada , kuchalna pada Jo tumse judi har yaad ko , tumse judi har Baat ko Tumhare sath hone ke har ek ehsaas ko , jo mai sahejana chahta tha apne pass Jo unn haatho tumhare bas thamke rakhha chahata tha mai Par haath chudakar yu , aur unn ehsaaso se juda hokar , Azad mehsoos kiya ho tumne ... To tumhari Nayi azadi ke liye Mai khush hu Mai khush hu teri har ek khushi se Aur jo mashroof hue iss kadar tum Naye jahaan mei apne Ke tujhme hi mashroof rehne wala , teri hi parwaah karne wala , Fir nazar tak nahi aaya tumhe ..... Aur Saath vo bhulakar jo aagey badh gaye tum Ek naye safar mei , nayi ummido ke sath ... To tumhari unn nayi ummido ke liye Mai khush hu , Mai khush hu teri har ek khushi se .
Sad Shayari
" मैं खुश हूं " Yu nazar fer jaane se Yu berukhi dikhane se Agar milti ho tumhe khushi jara si bhi To mai khush hu Mai khush hu teri har ek khushi se Ja Raaho par dekhkar kar diya nazar andaz tumne .... To fark nhi padta ki kya mehsoos mere iss dil ne uss waqt kiya ......jo shayad dhadakna hi bhul gya Bas us ek pal ke liye. ... Par mila ho thoda sa bi sukoon esa karne mei tumhe ... Tere uss sukoon ke liye , Mai khush hu , Mai khush hu teri har ek khushi se ....
Sad Shayari
" मैं मंजिल तो था ही नही " Mai Manzil to tha hi nahi teri Bas shayad safar ka ek sath tha Mai Zindagi to tha hi nahi teri Bas shyad uska ek chota sa khayal tha Mere liye to har pal sath hona tera Ek zunoon ka kaam tha Mujhe kya Pta tha mai teri zaroorat mei , ek chota sa mukaam tha Maan kiya mai khud ko kitna bi tadpa lun Iss dard ki aag mei khud ko kitna bhi jalaa lun Mai Rou lu Raat bhar chaahe teri yaad mei Mera zikra tak na aayega ek baar teri Baat mei
Sad Shayari
" एक खत तेरे नाम " - ( A one Sided Breakup) Aaj tumse kuch kehne ko jew chahta hai , Yaa yu kahu ki aaj vo sabkuch kehne ko jee chahta hai jo shayad zindagi ab dobara kabi mauka hi na de dobara . Pta hai kittu aaj fir se vo pyaar bhare naamo se tumhe Bulaane ka mann kar Raha hai , Par shayad ab mai tumhe naam lekar hi bulaaun to sahi hoga. ...Ha kyunki tumhare naam se pehle vo pyaar bhare prefix mai laga diya karta tha ab shayad haq nahi hai mujhe .. Khair ab to kaafi waqt beet gaya hai dur gaye hue tumhe , vese mene to ek ek din ko jiya hai yaad mei tumhari , Aur har ek din ko gina hai , to sahi se batata hu , ha tumhe gaye hue aaj pure 7 mahine aur 5 din ho gaye hai , par mujhe kal hi ki Baat lagti hai , jab tum mujhe vo aakhri baar mili thi ...vo Chehre pe tumhare Na jaane kesi jaldbazi si thi bas dur jaane ki , Mai kuch jyada puch bhi na paya tumse usdin .....Haan…
Dard Bhari Shayari
' KYA TUM VAHI HO ' Kya tum Vahi ho , jo mere Baat ne karne pe Rooth jaya karte the Kya vahi ho jo mere Preshan hone par Mujhe Bharosa dilaya karte the Jo har Roz Chodkar na jaane ke Mujhse Vaade karaya karte the ..... Kehne se pehle hi Mere vo Pyaar bhare shad sunaya karte the .... Hota koi bhi kaam bas mujhko bulaya karte the Jo har kahani har kissa pehle mujhko btaya karte the. ., Kyaa tum vahi ho ....? Mana mai ek ajnabi hu tumhare liye ab Par yu iss tarah mukar jana tumhara Har Roz ek jakhm ki tarah chubhta hai mujhe ... Jo Raaste hua karte the tumhare aur mere kabhi Yu unn Raasto par se tumhara kisi aur ke saath Gujarana... Har Roz rulaata hai mujhe....Har pal Tadpata hai mujhe .... Puchta hu fir se kya tum vahi ho. ..... Jo kehte the mai nahi Reh Sakti tumhare Bina Jo har pal bas mujhko kehti thi Ab koi na hoga tumhare siwa .... Ky…
Sad Shayari
' Chal Raha hu mai ' Chal Raha hu mai , bas ab tera sath nhi hai Kya kahun inn Rasto mei ab vo baat nhi hai Vo yuhi karletaa hu mai ab khud ko khushnuma Iss khushi mei vo teri hasi ki baat nhi hai Yuhi fisal Rahi ha zindagi ki dor ab jese hatho se Tham lu mai uss dor ko ab ye vishwas nhi hai Chal Raha hu bas ab tera sath nahi hai .... Baatein kai hai dil mei , Kai Jazbaat Baaki hai tere liye Par tujh tak pahuch paaye Ab vo ehsaas nhi hai Chal Raha hu mai , bas ab tera sath nhi hai .....
Love Shayari
' Hota hai Agla Janam to ' Hota hai agar agla janam to Chahta hu fir se milo tum .. Fir se ho vo pehli mulaqaat Fir se ho vo pehli Baat. ... Chahat fir se jagey vo dil mei Tum ko apna banane ki , tumko paane ki Mehsoos fir ae kar saku mai Khushboo vo tumhari Fir fir se khush ho saku mai Vo har khushi mei tumhari Koshi fir se karu mai Tumko apna banane ki Shayad Meri kismat Roothi na ho uss janam mei Chahta hu fir se milo tum , Mujhko agle janam mei ....

Your voice belongs here.

Share a thought, a poem or a story with the community.

Start writing ↗