Latest Shayari

Zindagi ko haseen tohfa deta hai Woh burey halaat mein bhi muskura leta hai

Aaj daman mein phool hai Kal kante bhi ho sakte hai Aaj mehfil mein raunak hai Kal sannatey bhi ho sakte hai

Zindagi ne zindagi ko zindagi bhar uljha diya Maut aayi maut ne zindagi ki har uljhan ko Suljha diya

Zindagi par dukh ki chadar chah gayi Yaar se judai ki ghadi as gayi

Zindagi mein kya kamaya hai Bas sab teri yaadon ka sarmaya hai

Na koi arzu na koi khauish na koi tamanna na talab Main toh dewaana hoon mujhe bas apni dewaangi se matlab

Zindagi toh zara hamari dekho Kaise kaise rang badalti hai

Adami kitna bhi samajhdar ho Daulat ka paani karta hai Ishq mein adami aksar nadaani karta hai

Pandit mulla padari apni hi manmani karte hai Adami se toh kya Ishwar Allaah God se bhi Be imaani karte hai

Pandit mulla padari apni hi manmani karte hai Adami se toh kya Ishwar Allaah God se bhi Be imaani karte hai

Na ved na puran mein Zindagi ka ilaaj ho sakta hai Par maut ka ilaaj Na gita na bible na koran mein

Mujhse nafrat na kar tu aye Namaazi Ke woh mera bhi khuda hai mai bhi usko pyara hoon Main kafir hua to kya hua Main bhi uska dulara hoon

Mujhe jaane do jane do apni manzil pe jaane do Ke iss duniya mein ab mera kahin dil hi nahi lagta

Badi ummid se main tere ghar barat laya tha Khabar kya thi woh jashn matam mein badlega

Main tanha hoon kisi kone mein chup chaap baithunga Tum apne dil mein thodi si jaga dedo mere katil