मुझे कुछ भी नहीं कहना इतनी सी गुजारिश है,
बस उतनी बार मिल जाओ जितना याद आते हो।
Words for every feeling
Share your writing ↗Sad Shayari
A little shayari, a little reflection. Read words shared from the heart.
fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
samne baiTha tha mere aur wo mera na tha
wo ki KHushbu ki tarah phaila tha mere chaar-su
main use mahsus kar sakta tha chhu sakta na tha
raat bhar pichhli si aahaT kan mein aati rahi
jhank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha
main teri surat liye sare zamane mein phira
sari duniya mein magar koi tere jaisa na tha
aaj milne ki KHushi mein sirf main jaga nahin
teri aankhon se bhi lagta hai ki tu soya na tha
ye sabhi viraniyan us ke juda hone se thin
aankh dhundlai hui thi shahr dhundlaya na tha
sainkaDon tufan lafzon mein dabe the zer-e-lab
ek patthar tha KHamoshi ka ki jo haTta na tha
yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi 'adim'
bhul jaane ke siwa ab koi bhi chaara na tha
maslahat ne ajnabi hum ko banaya tha 'adim'
warna kab ek dusre ko hum ne pahchana na tha
wo to KHush-bu hai hawaon mein bikhar jaega
masala phul ka hai phul kidhar jaega
hum to samjhe the ki ek zaKHm hai bhar jaega
kya KHabar thi ki rag-e-jaan mein utar jaega
wo hawaon ki tarah KHana-ba-jaan phirta hai
ek jhonka hai jo aaega guzar jaega
wo jab aaega to phir us ki rifaqat ke liye
mausam-e-gul mere aangan mein Thahar jaega
aaKHirash wo bhi kahin ret pe baiThi hogi
tera ye pyar bhi dariya hai utar jaega
mujh ko tahzib ke barzaKH ka banaya waris
jurm ye bhi mere ajdad ke sar jaega
Is Se Pehlay Ki Be-wafa Ho Jaen
Kyun Na Ai Dost Ham Juda Ho जाएं
Aaj Ek Aur Baras Bit Gaya Us Ke Baghair
Jis Ke Hote Huye Hote The Zamane मेरे
Agar Tumhaari Ana Hi Ka Hai Sawal To Phir
Chalo Main Hath Barhata Hun Dosti Ke लिए
Aankh Se Dur Na Ho Dil Se Utar Jaega
Waqt Ka Kya Hai Guzarta Hai Guzar Jaega
Kya Ghamand Karta Ho Apne Khubsurti Pe Aye Sahab
Ek Din To Sabko Mithi Mein Jana Hai
Aj Humko Khak Hona Hai
To
Kal Apko Khak Hona Hai
#SAGAR_R
#BOXER?✍️
Itni Pyari Soch Tumhari Nahi Hoti
Agar Tum Sab Se Mulakat Hamari Na Hoti
Tadaptey Rehtein Sache Dosti K Talash Mein
Aye Dost Agar Tum Sab Se Mulakat Hamari Na Hoti
#SAGAR_R
#BOXER?✍️
" पर सच कहूं " ............... ( A story )
Tumhare mujhko khud se dur karne ke vo akhri
Pal aaj bhi yaad aa jaate hai , jab kaha tha tumne
' I am not feeling good with you yaar ' ...Ab mujhe tumse nahi hai pyaar . ....Na Jaane kab vo 1 saal 1 mahine aur 16 din baad tumko realise ho gya ki tumko pyaar nhi , hongi shayad tumhari apni koi mazburiyan nayi ....
Par Sach kahu ...vo tumhare shabd mujhe choobh rahe the bahut , vo pehle wali tum ko mai dhoond raha tha bahut .
Par sach kahu ...tumhari khushi to mene dekh hi li thi mene tumhare alag jaane mei ...Haan mene kaha tumse usdin milne ke liye .. Haan mene Zid bhi ki thi ....
Par sach kahu ....jo mai kar raha tha zid tumse milne ki ...tumhe milna to chahta tha par tumhe Rokna na chahta tha ...haan mai toot raha tha andar se bahut.
Par sach kahu ....Haan vo saare pal ek baar fir se jeena chahta tha mai , tumhe jee…
" मैं ठहरा हूं वहीं " ( WAQT )
Mai Ruka hu vahin usi waqt mei
Chale Gaye tum jaha se
Mai usi waqt mei Thehra hu
Muskura kar Baat ki thi akhri Baar
Hue the akhri Baar Rubaroo
Mile the tum akhri baar jab
Uss pal mei hi jee raha hu Ab
Mai Ruka hu vahi unn kahaniyo mei
Tumhari unn pyar bhari nadaaniyo mei
Uss hasi mei tumhari , uss har ek khushi mei tumhari
Mai Ruka hu vahi usi waqt mei
Jab mujhko har waqt bulaya karte the tum
Apna har haal btaya karte the tum
Tum to Raabta na rakh paaye uss waqt se jyada
Par uss waqt ko har waqt jiya tha mene ,
Kehte hai sab ki waqt hamara bi aayega kabhi
Par uss waqt ko hi apna waqt maan liya tha mene .
Vo waqt ...mai thehra hu vahi usi waqt mei
Bhulkar uss waqt ko tum to aa agye ko kaafi aagey ab shayad
Par thehra hu vahi , usi waqt mei
Jo mujhe mera sa lagta tha
Jisme Baat tumhari hoti thi , jiski har s…
" मैं लिखता हूं तुझे "
Mai Likhta hu tujhe kuch ias tarah se
Har shabd ko likhkar Ro deta hu bas
Fir se unn yado mei khud ko kho deta hu bas
Ab dhundta hu tujhe apni shaayario mei mai
Kuch der yu fir se kuch jee leta hu mai
Teri kahaanio mei hi bas ab tujhse mil leta hu mai
Hai kehne ko itna kuch tere baare mei
Har Roz meri dairy mei ek hissa ban jata hai
Khayal se khayal judte hai , anshu girte hai
Aur teri mohabbat ka ek naya kissa ban jata hai
Jab saath the tum tab meri shayariyan auro se anzaan thi
Bas tujh tak jaati thi , tere ishq ki pehchan thi ..
Mai likhta hu tujhe ab kuch iss tarah se
Tujhko mai paa leta hu kuch der
Khud ko yu azmaa leta hu kuch der
Ishq fir tumse nibha leta hu kuch der
Mai likhta hu tujhe kuch isa tarah se .....
" पूछे कोई तुमसे "
puche koi tumse mere Baare mei , Keh dena koi khaas nahi tha ...
Ek shaqs Mila tha yuhi ,
Jo ek galti kar baitha tha
Jo haq mene na diya tha usko ,
Bas vahi kar baitha tha ....
Vese to kehta tha dost mujhe ,
Par mujhse ishq kar baitha tha
Keh dena ki vo tariffe mei yuhi bewajah hi karta tha
Dukh mei mujhe hasane ki koshi hazaar karta tha ...
Kehne par bas mere yu daud ka aajata tha
Bahane saath bitaane ke yuhi talaash karta tha
Na jaane kya samajh baitha tha
Naa jaane kya jaan baitha tha
Sapno ko bhi mere apna maan baitha tha .
Nasamajh tha shayad , ya sochkar sab karta tha
Bhulkar khud ko bas parwaah meri karta tha
Kabil nahi tha kabhi mere ,
Na usme hunar koi khaas tha .
Bas Bewakoofiyaan si karta tha
Bewajah hi mere liye , ankho mei anshu bharta th…
" मैं खुश हूं " - 2
Jab kuch naye Sapne Saza liye tumne
To tumse judey apne har ek sapne ko mujhe Raundana pada , kuchalna pada
Jo tumse judi har yaad ko , tumse judi har Baat ko
Tumhare sath hone ke har ek ehsaas ko , jo mai sahejana chahta tha apne pass
Jo unn haatho tumhare bas thamke rakhha chahata tha mai
Par haath chudakar yu , aur unn ehsaaso se juda hokar , Azad mehsoos kiya ho tumne ...
To tumhari Nayi azadi ke liye
Mai khush hu
Mai khush hu teri har ek khushi se
Aur jo mashroof hue iss kadar tum Naye jahaan mei apne
Ke tujhme hi mashroof rehne wala , teri hi parwaah karne wala ,
Fir nazar tak nahi aaya tumhe .....
Aur Saath vo bhulakar jo aagey badh gaye tum
Ek naye safar mei , nayi ummido ke sath ...
To tumhari unn nayi ummido ke liye
Mai khush hu ,
Mai khush hu teri har ek khushi se .
" मैं खुश हूं "
Yu nazar fer jaane se
Yu berukhi dikhane se
Agar milti ho tumhe khushi jara si bhi
To mai khush hu
Mai khush hu teri har ek khushi se
Ja Raaho par dekhkar kar diya nazar andaz tumne ....
To fark nhi padta ki kya mehsoos mere iss dil ne uss waqt kiya ......jo shayad dhadakna hi bhul gya Bas us ek pal ke liye. ...
Par mila ho thoda sa bi sukoon esa karne mei tumhe ...
Tere uss sukoon ke liye ,
Mai khush hu ,
Mai khush hu teri har ek khushi se ....
" मैं मंजिल तो था ही नही "
Mai Manzil to tha hi nahi teri
Bas shayad safar ka ek sath tha
Mai Zindagi to tha hi nahi teri
Bas shyad uska ek chota sa khayal tha
Mere liye to har pal sath hona tera
Ek zunoon ka kaam tha
Mujhe kya Pta tha mai teri zaroorat mei ,
ek chota sa mukaam tha
Maan kiya mai khud ko kitna bi tadpa lun
Iss dard ki aag mei khud ko kitna bhi jalaa lun
Mai Rou lu Raat bhar chaahe teri yaad mei
Mera zikra tak na aayega ek baar teri Baat mei
" एक खत तेरे नाम " - ( A one Sided Breakup)
Aaj tumse kuch kehne ko jew chahta hai ,
Yaa yu kahu ki aaj vo sabkuch kehne ko jee chahta hai jo shayad zindagi ab dobara kabi mauka hi na de dobara .
Pta hai kittu aaj fir se vo pyaar bhare naamo se tumhe Bulaane ka mann kar Raha hai ,
Par shayad ab mai tumhe naam lekar hi bulaaun to sahi hoga. ...Ha kyunki tumhare naam se pehle vo pyaar bhare prefix mai laga diya karta tha ab shayad haq nahi hai mujhe ..
Khair ab to kaafi waqt beet gaya hai dur gaye hue tumhe , vese mene to ek ek din ko jiya hai yaad mei tumhari , Aur har ek din ko gina hai , to sahi se batata hu , ha tumhe gaye hue aaj pure 7 mahine aur 5 din ho gaye hai , par mujhe kal hi ki Baat lagti hai , jab tum mujhe vo aakhri baar mili thi ...vo Chehre pe tumhare Na jaane kesi jaldbazi si thi bas dur jaane ki , Mai kuch jyada puch bhi na paya tumse usdin .....Haan…
' Chal Raha hu mai '
Chal Raha hu mai , bas ab tera sath nhi hai
Kya kahun inn Rasto mei ab vo baat nhi hai
Vo yuhi karletaa hu mai ab khud ko khushnuma
Iss khushi mei vo teri hasi ki baat nhi hai
Yuhi fisal Rahi ha zindagi ki dor ab jese hatho se
Tham lu mai uss dor ko ab ye vishwas nhi hai
Chal Raha hu bas ab tera sath nahi hai ....
Baatein kai hai dil mei ,
Kai Jazbaat Baaki hai tere liye
Par tujh tak pahuch paaye
Ab vo ehsaas nhi hai
Chal Raha hu mai , bas ab tera sath nhi hai .....
Your voice belongs here.
Share a thought, a poem or a story with the community.
Start writing ↗